Tuesday, March 11, 2008

DHAMAKAY DAAR URDU SMS COLLECTIONS

Saans lene se bhi teri yaad aati hai,
Har saans mein teri khushboo bas jati hai,

Kese kahoon ki saans se main zinda hoon,
Jab ki saans se pehle teri yaad aati hai.

ali
03214519608
lhr
Urdu Poetry


Buhat hi Muddat kai baad kul jub
kitaab-e-maazi ko main nai khola

buhat sai chehrey nazar main utray
buhat sai naamoan pai dil paseeja

ik aisa safa bhi usmain aaya
likha hoa tu jo aansoan sai

kai jis ka unwaan HUMSAFAR tha
jo safa sub sai hi moatabar tha

kuch aur aansu phir us per tupkai
phir us sai aagay main phar na paaya

kitaab-e-maazi ko bund karkai
tumhari yaadoan main kho giya main

Agar Tu Milta Tu kaisa Hota
Inhi Khyaloan main so gya…

ali
03214519608
lhr
Urdu Poetry


Uss ne khat meiN
Ishq ka matlab poochh liya hay
Mainay likha hay!
Jab koi chehra
Dhiyaan meiN aa kar
Mann aangan meiN phool khilaa day
Jab koi naam laboN ko chhoo kar
DharrkanoN ko tarteeb bhulaa day
Jab koi jazba kaar-e-junooN say
Aatish ko gulzaar bana day
Lekin itna dhiyaan meiN rakhna
Koi siraat-e-ishq say guzray tab khultaa hay
Ishq say pehlay ishq ka matlab kab khultaa hay Mujahid Naqvi
0333-4289354
Lahore
Urdu Poetry


Chalo sath TumHare chaLte hEin
Koi Suraj Jage Meri Dharti Pe
Kuch Aisa Ho YE Rat Dhalay.
Koi Hath Main Thame Hath Mera.
Koi le Ker Muj Ko Sath Chale.
Koi Bethay Mere Pahlu Main.
Mere Shanay Per Hath Dhare.
Ansu Poonch Ker Ankhon Se.
Ruke Ruke Lehjay Main Kahe.
Youn Tanha Safer kAbi Kata Nahi.
Chalo Sath Tumhare Chalte Hain Mujahid Naqvi
0333-4289354
Lahore
Urdu Poetry


Kisi ney lakh samjhaya yeh kafir dil nehin mana
Mujhy khud bhi khyal aya yeh kafir dil nehi mana

Dilon ki apni mantek hey dilon ko kon samjhay
Palat jati meri kaya yeh kafir dil nehin mana

Kahin to hijer k jalty safar main mill hi sakta tha
Kisi deewar ka saya yeh kafir dil nehin mana

Hazaaron orr manzer thy tumhary husn sey berh ker
Nazar ka dil bhi lalchaya yeh kafir dil nehin mana Mujahid Naqvi
0333-4289354
Lahore
Urdu Poetry


ajnabi say rahon ka ajnabi musafir aik...

mujh say pooch betha hai rasta bata do gay?

ajnabi si rahon ka ajnabi musafir sun...

rasta koi bi ho wasta koi bi ho manzelain nahi milti...

manzelain toa dhoka hain manzelain gar mil jaen....

toa justajo nahi rahti zindagi ko jenay ki arzoo nahi rahti........;-> Jhangir
03213170191
Karachi
Urdu Poetry

No comments: